Azadari

Ye kisne keh diya Tumse ki Biddat hai Azadari
Baqol e sayyad e mursal ibadat hai Azadari

Kisi mufti ke fatwe se Kabhi Ye Gir Nhi sakti
Ke khud Allah ke zer e Hifazat hai Azadari

Na Jane Kitni tahzeebe jaha.n me ho Gayi.n nabood
Magar chaudah so Salo se Salamat hai Azadari

Nizam e Jabr iske samne tik hi Nahi Sakta
Khilaf e Zulm takrane ki taqat hai Azadari

Kaha.n Sabko ata hoti hai ye nemat zamane me
Khuda ki khaas bando ko inayat hai Azadari

Wafa o ilm o hikmat ki Sadaqat ki Muhabbat ki
Zaraat hai, zaroorat hai, alamat hai Azadari

Baghair iske Nahi mumkin kisi Insan ki bakhshish
Baroz e Hashr Saman e Shifaat hai Azadari

Kabhi Shabbir ke Gham me riyakari Nahi karna
Aqeedat hai, Mawaddat hai, Sharafat hai Azadari

Ye Matam Ik tamacha hai Ameer E Sham ke Rukh Par
Tareeq e Inhedaam e Qasr e baiyyat hai Azadari

Azadaro Ise khud se Juda Hone Nahi Dena
Safeer E maqsad e Sheh Ki Amanat Hai Azadari

Zaban o rung o Maslak ki Yaha.n Bandish Nahi *Aarif*
Safeer E ittehad e Qaum o Millat hai Azadari

Comments

Popular posts from this blog

مسدس مولا عباس

منقبت مولا علی علیہ السلام

منقبت رسول اللہ ص اور امام جعفر صادق علیہ السلام