Nauha Hoto Pe Dam e Aakhir Abbas Ke Nauha Tha
Hoto pe dam e akhir Abbas ke nauha tha Aqa mere lashe ko khaime me na le jana Masoom sakina se wada na hua pura Aqa mere lashe ko khame me na le jana Koshish to bahot ki par, pahucha na saka pani Ik teer se sab mera armaan hua pani Afsos na baccho ki mai pyas bujha paya Taqdeer ne kaisa din pardes me dikhlaya Zehra ka bhara kunba Pyasa hai lab e darya Kuch mujhse na ho paya Abbas Raha Zinda Bekar hai ab jeena maqsad na hua pura Sah roz ke pyaso ko pani na pila paya Sharminda bahut hu mai baccho se yahi kehna Payegi khabar jis dam ammu ko qaza ayi Sukhe hue kuze ko todegi meri bacchi Bardasht nahi hoga usse ye mera sadma Meri pyari sakina jo Godi me meri kheli Ye akhiri khwahish bhi kar paya na mai puri Dil se ye qalaq mere markar bhi na Jayega Mai apki Nusrat ko aya tha madine se Ab hal hua aisa qasir hua Jeene se Pardes me Ab chore jata hu tumhe tanha Machli sa tadapta hai jhoole me Ali Asghar Ye dekh ke chalta hai khanjar sa mire dil par Aye kash ...