Ye kisne keh diya Tumse ki Biddat hai Azadari Baqol e sayyad e mursal ibadat hai Azadari Kisi mufti ke fatwe se Kabhi Ye Gir Nhi sakti Ke khud Allah ke zer e Hifazat hai Azadari Na Jane Kitni tahzeebe jaha.n me ho Gayi.n nabood Magar chaudah so Salo se Salamat hai Azadari Nizam e Jabr iske samne tik hi Nahi Sakta Khilaf e Zulm takrane ki taqat hai Azadari Kaha.n Sabko ata hoti hai ye nemat zamane me Khuda ki khaas bando ko inayat hai Azadari Wafa o ilm o hikmat ki Sadaqat ki Muhabbat ki Zaraat hai, zaroorat hai, alamat hai Azadari Baghair iske Nahi mumkin kisi Insan ki bakhshish Baroz e Hashr Saman e Shifaat hai Azadari Kabhi Shabbir ke Gham me riyakari Nahi karna Aqeedat hai, Mawaddat hai, Sharafat hai Azadari Ye Matam Ik tamacha hai Ameer E Sham ke Rukh Par Tareeq e Inhedaam e Qasr e baiyyat hai Azadari Azadaro Ise khud se Juda Hone Nahi Dena Safeer E maqsad e Sheh Ki Amanat Hai Azadari Zaban o rung o Maslak ki Yaha.n Bandish Nahi *Aarif* Safeer E ittehad e Qaum ...